lakh mujhe dosh pe sar chahiye
laakh mujhe dosh pe sar chāhiye
sail-e-balā ko mirā ghar chāhiye
zād-e-safar se kahīñ kaTtī hai raah
dil meñ faqat shauq-e-safar chāhiye
ḳhair ho tābānī-e-ḳhurshīd kī
shab ke dulāroñ ko sahar chāhiye
ab ye talab hai ki havas chhoḌiye
peḌ nahīñ mujh ko samar chāhiye
māñgte haiñ vo bhī zamīñ se murād
sū-e-falak jin kī nazar chāhiye
ab unheñ sāhil na Dubo de jinheñ
paar utarne ko bhañvar chāhiye
mujh ko to hai ḳhāna-ḳharābī pasand
aap kaheñ kis liye ghar chāhiye
mujh sā bhī me.ār-talab kaun hai
dukh bhī mujhe koī amar chāhiye
kuchh nahīñ aatā to ḳhushāmad hī siikh
haath meñ koī to hunar chāhiye
pūchh to luuñ rāhzan-e-vaqt se
merī kalā yā mirā sar chāhiye
teġh kī 'rāshid' thī zarūrat mujhe
maiñ ye samajhtā thā sipar chāhiye
lakh mujhe dosh pe sar chahiye
sail-e-bala ko mera ghar chahiye
zad-e-safar se kahin kaTti hai rah
dil mein faqat shauq-e-safar chahiye
KHair ho tabani-e-KHurshid ki
shab ke dularon ko sahar chahiye
ab ye talab hai ki hawas chhoDiye
peD nahin mujh ko samar chahiye
mangte hain wo bhi zamin se murad
su-e-falak jin ki nazar chahiye
ab unhen sahil na Dubo de jinhen
par utarne ko bhanwar chahiye
mujh ko to hai KHana-KHarabi pasand
aap kahen kis liye ghar chahiye
mujh sa bhi mear-talab kaun hai
dukh bhi mujhe koi amar chahiye
kuchh nahin aata to KHushamad hi sikh
hath mein koi to hunar chahiye
puchh to lun rahzan-e-waqt se
meri kala ya mera sar chahiye
tegh ki 'rashid' thi zarurat mujhe
main ye samajhta tha sipar chahiye
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 383)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.