Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lakh sidha karen mujhko ye zamane wale

Qaisar Munavvar

lakh sidha karen mujhko ye zamane wale

Qaisar Munavvar

MORE BYQaisar Munavvar

    laakh sīdhā kareñ mujh ko ye zamāne vaale

    baat ye hai ki mire bal nahīñ jaane vaale

    dil-girafta huuñ badalte hue hālāt se maiñ

    tujh se nārāz nahīñ mujh ko manāne vaale

    pahre-dāroñ chalan aam huā hai jab se

    lāpata hone lage ghar ke kamāne vaale

    āḳhir ik hujra-e-be-dar bachegī duniyā

    kyoñ samajhte nahīñ dīvār uThāne vaale

    ye jo ab rīsh-o-'abāya meñ chhupe baiThe haiñ

    haa.e kyā log the ye pīne-pilāne vaale

    be-sabab milne fursat nahīñ miltī hai

    kaam se milte haiñ ab yaar purāne vaale

    lakh sidha karen mujh ko ye zamane wale

    baat ye hai ki mere bal nahin jaane wale

    dil-girafta hun badalte hue haalat se main

    tujh se naraaz nahin mujh ko manane wale

    pahre-daron ka chalan aam hua hai jab se

    lapata hone lage ghar ke kamane wale

    aaKHir ek hujra-e-be-dar hi bachegi duniya

    kyon samajhte nahin diwar uThane wale

    ye jo ab rish-o-'abaya mein chhupe baiThe hain

    hae kya log the ye pine-pilane wale

    be-sabab milne ki fursat hi nahin milti hai

    kaam se milte hain ab yar purane wale

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now