lakh taklif den rishton ke khanDar aaj ke baad
laakh taklīf deñ rishtoñ ke khañDar aaj ke baad
ham kabhī chhoḌ ke jā.eñge na ghar aaj ke baad
aa.e din apnī hī peshānī huī hai majrūh
pattharo tum se na Takrā.eñge sar aaj ke baad
ab na ā.īna hī koī hai na ā.īna-sifat
ḳhatm hai mas.ala-e-aib-o-hunar aaj ke baad
apnī parvāz pe har lamha jo hogī tanqīd
kaise phailā.eñge ham bāzū-o-par aaj ke ba.ad
ghol de saarī fazāoñ meñ ḳhudā amn hī amn
ḳhuun ro.eñ na kahīñ shām-o-sahar aaj ke baad
koī jugnū hī sahī saath nibhā.egā zarūr
hai jo qismat meñ ujāloñ kā safar aaj ke baad
lakh taklif den rishton ke khanDar aaj ke baad
hum kabhi chhoD ke jaenge na ghar aaj ke baad
aae din apni hi peshani hui hai majruh
pattharo tum se na Takraenge sar aaj ke baad
ab na aaina hi koi hai na aaina-sifat
KHatm hai masala-e-aib-o-hunar aaj ke baad
apni parwaz pe har lamha jo hogi tanqid
kaise phailaenge hum bazu-o-par aaj ke baad
ghol de sari fazaon mein KHuda amn hi amn
KHun roen na kahin sham-o-sahar aaj ke baad
koi jugnu hi sahi sath nibhaega zarur
hai jo qismat mein ujalon ka safar aaj ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.