lakh tufan bhejiye mujhko sata ke dekhiye
laakh tūfāñ bhejiye mujh ko satā ke dekhiye
rū-ba-rū hoñge diye mere havā ke dekhiye
naujavān-e-hind haiñ ham sarfaroshī ḳhuuñ meñ hai
gar yaqīñ aa.e nahīñ to aazmā ke dekhiye
har taraf se tiir khā kar ham haiñ maqtal meñ khaḌe
aur qātil kah rahā hai muskurā ke dekhiye
mulk kī āb-o-havā meñ zahr itnā ghol kar
kar raheñ haiñ aap kyā nazreñ uThā ke dekhiye
taaj bhī uchhleñge saare taḳht bhī gir jā.eñge
ahl-e-mulk-o-qaum sab ik saath aa ke dekhiye
māñgte haiñ har qadam ham se mohabbat kā subūt
'soloman' taur-e-vafā ahl-e-vafā ke dekhiye
lakh tufan bhejiye mujh ko sata ke dekhiye
ru-ba-ru honge diye mere hawa ke dekhiye
naujawan-e-hind hain hum sarfaroshi KHun mein hai
gar yaqin aae nahin to aazma ke dekhiye
har taraf se tir kha kar hum hain maqtal mein khaDe
aur qatil kah raha hai muskura ke dekhiye
mulk ki aab-o-hawa mein zahr itna ghol kar
kar rahen hain aap kya nazren uTha ke dekhiye
taj bhi uchhlenge sare taKHt bhi gir jaenge
ahl-e-mulk-o-qaum sab ek sath aa ke dekhiye
mangte hain har qadam hum se mohabbat ka subut
'soloman' taur-e-wafa ahl-e-wafa ke dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.