lakh tufan ke hon tez dhaare
laakh tūfāñ ke hoñ tez dhāre
aadmī vo jo himmat na haare
ye samāñ ye fazā ye nazāre
umr-e-rafta ko koī pukāre
merī manzil pare āsmāñ se
sab mirī raah meñ haiñ sitāre
hai har ik chiiz insāñ kī zad meñ
āsmān chāñd sūraj sitāre
paane vāloñ ne manzil bhī pā lī
rah ga.e sirf qismat ke maare
ġham nahīñ mujh ko kashtī kā lekin
Duub jaate haiñ aksar kināre
ab ye rishta nahīñ TūTne kā
tum hamāre hue ham tumhāre
ab to vīrāniyāñ har jagah haiñ
kyoñ banoñ meñ phirūñ maare maare
kitnī dilchasp hai ḳhud-farebī
jītne kī tamanna meñ haare
us chaman meñ nahīñ āshiyāna
apne hāthoñ se jis ko sañvāre
ai talātum udhar ik thapeḌā
haiñ jo ab tak kināre kināre
hai ye paimāna-e-zarf 'sālik'
zindagī muskurā kar guzāre
lakh tufan ke hon tez dhaare
aadmi wo jo himmat na haare
ye saman ye faza ye nazare
umr-e-rafta ko koi pukare
meri manzil pare aasman se
sab meri rah mein hain sitare
hai har ek chiz insan ki zad mein
aasman chand suraj sitare
pane walon ne manzil bhi pa li
rah gae sirf qismat ke mare
gham nahin mujh ko kashti ka lekin
Dub jate hain aksar kinare
ab ye rishta nahin TuTne ka
tum hamare hue hum tumhaare
ab to viraniyan har jagah hain
kyon banon mein phirun mare mare
kitni dilchasp hai KHud-farebi
jitne ki tamanna mein haare
us chaman mein nahin aashiyana
apne hathon se jis ko sanware
ai talatum udhar ek thapeDa
hain jo ab tak kinare kinare
hai ye paimana-e-zarf 'salik'
zindagi muskura kar guzare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.