lal-o-gauhar na zar ki baat karo
la.al-o-gauhar na zar kī baat karo
us but-e-sīm-bar kī baat karo
kyoñ mire sar kā zikr chheḌ diyā
apne dīvār-o-dar kī baat karo
zulmat-e-shab kā daur ḳhatm huā
ab sahar hai sahar kī baat karo
baat dil hī meñ rahne do dil kī
ghar ke bāhar na ghar kī baat karo
kar chuke zikr apne husn kā ab
mere husn-e-nazar kī baat karo
shaiḳh ko zikr-e-hūr karne do
tum bashar ho bashar kī baat karo
nāseho kah chuke tum apnī baat
ab mire chārāgar kī baat karo
lal-o-gauhar na zar ki baat karo
us but-e-sim-bar ki baat karo
kyon mere sar ka zikr chheD diya
apne diwar-o-dar ki baat karo
zulmat-e-shab ka daur KHatm hua
ab sahar hai sahar ki baat karo
baat dil hi mein rahne do dil ki
ghar ke bahar na ghar ki baat karo
kar chuke zikr apne husn ka ab
mere husn-e-nazar ki baat karo
shaiKH ko zikr-e-hur karne do
tum bashar ho bashar ki baat karo
naseho kah chuke tum apni baat
ab mere chaaragar ki baat karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.