lala-kari-e-mohabbat na rahi
lāla-kārī-e-mohabbat na rahī
ki lahū rone kī aadat na rahī
mar ga.iiñ ārzūeñ ghuT ghuT kar
dil meñ ab ek bhī hasrat na rahī
dil-e-afsurda ko kyā garmā.eñ
garmī-e-zauq-e-mohabbat na rahī
shaaq thī pahle-pahal to magar ab
be-dilī bā.is-e-vahshat na rahī
sahar-o-shām ke nazzāroñ meñ
vo sabāhat vo malāhat na rahī
dil pe hai daaġh ki ab zauq-añgez
shafaq-e-shām kī rangat na rahī
kabhī bahlātī thī dil ko aa kar
kyuuñ vo ummīd kī aadat na rahī
maut thī terī judā.ī ham ko
zahr khāne kī zarūrat na rahī
shā.irī naam thā ik hālat kā
ab vo 'mahrūm' kī hālat na rahī
lala-kari-e-mohabbat na rahi
ki lahu rone ki aadat na rahi
mar gain aarzuen ghuT ghuT kar
dil mein ab ek bhi hasrat na rahi
dil-e-afsurda ko kya garmaen
garmi-e-zauq-e-mohabbat na rahi
shaq thi pahle-pahal to magar ab
be-dili bais-e-wahshat na rahi
sahar-o-sham ke nazzaron mein
wo sabahat wo malahat na rahi
dil pe hai dagh ki ab zauq-angez
shafaq-e-sham ki rangat na rahi
kabhi bahlati thi dil ko aa kar
kyun wo ummid ki aadat na rahi
maut thi teri judai hum ko
zahr khane ki zarurat na rahi
shairi nam tha ek haalat ka
ab wo 'mahrum' ki haalat na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.