lala-o-gul hain chand tare hain
lāla-o-gul haiñ chāñd taare haiñ
aap ke naqsh sab se pyāre haiñ
dil hai merā harīf-e-qaus-e-quzah
rang is aa.ine meñ saare haiñ
hāsil-e-zindagī haiñ vo lamhe
jo tire 'ishq meñ guzāre haiñ
āñsuoñ ko milā na miTTī meñ
ye mohabbat ke shāh-pāre haiñ
aap kā jab se iltifāt nahīñ
baar nazroñ pe sab nazāre haiñ
jaane kis ghaaT jā ke utregī
naav ke ham-safar kināre haiñ
ik mohabbat hazār afsāne
ek dil saiñkaḌoñ sahāre haiñ
un kī har jumbish-e-nazar meñ 'tufail'
kuchh kinā.e kuchh isti'āre haiñ
lala-o-gul hain chand tare hain
aap ke naqsh sab se pyare hain
dil hai mera harif-e-qaus-e-quzah
rang is aaine mein sare hain
hasil-e-zindagi hain wo lamhe
jo tere 'ishq mein guzare hain
aansuon ko mila na miTTi mein
ye mohabbat ke shah-pare hain
aap ka jab se iltifat nahin
bar nazron pe sab nazare hain
jaane kis ghaT ja ke utregi
naw ke ham-safar kinare hain
ek mohabbat hazar afsane
ek dil sainkaDon sahaare hain
un ki har jumbish-e-nazar mein 'tufail'
kuchh kinae kuchh isti'are hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.