lash ki tarah ho chuka hun main
laash kī tarah ho chukā huuñ maiñ
jaane kis tarah jī rahā huuñ maiñ
ḳhud ke andar hī qaid ho baiThā
apne piñjre meñ hī paḌā huuñ maiñ
sirf yādeñ mileñgī kamre meñ
ab yahāñ se chalā gayā huuñ maiñ
kaun mujh ko ghumātā rahtā hai
kis kī uñglī pe nāchtā huuñ maiñ
maiñ jo manzil pe ḳhud nahīñ pahuñchā
usī manzil kā rāsta huuñ maiñ
aañsū merī hañsī uḌāte hai
muskurāhaT pe ro liyā huuñ maiñ
zahr yuuñ hī piyegā ab mujh ko
huā yuuñ zahr pī chukā huuñ maiñ
ruuh se kuchh ḳharīdnā hai mujhe
jism ko sāñseñ bechtā huuñ maiñ
kho diyā raushnī meñ apnā vujūd
ab añdheroñ meñ DhūñDhtā huuñ maiñ
mere pīchhe koī na ro.egā
maut ke saath jā rahā huuñ maiñ
lash ki tarah ho chuka hun main
jaane kis tarah ji raha hun main
KHud ke andar hi qaid ho baiTha
apne pinjre mein hi paDa hun main
sirf yaaden milengi kamre mein
ab yahan se chala gaya hun main
kaun mujh ko ghumata rahta hai
kis ki ungli pe nachta hun main
main jo manzil pe KHud nahin pahuncha
usi manzil ka rasta hun main
aansu meri hansi uDate hai
muskurahaT pe ro liya hun main
zahr yun hi piyega ab mujh ko
hua yun zahr pi chuka hun main
ruh se kuchh KHaridna hai mujhe
jism ko sansen bechta hun main
kho diya raushni mein apna wujud
ab andheron mein DhunDhta hun main
mere pichhe koi na roega
maut ke sath ja raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.