lab hain KHamosh zaban salb nigahen qaidi
lab haiñ ḳhāmosh zabāñ salb nigāheñ qaidī
zindagī naam ke zindāñ meñ haiñ sāñseñ qaidī
kal jo khultīñ thiiñ mohabbat kī harārat pā kar
ho ga.iiñ aaj vo be-bāq sī bāheñ qaidī
koī āvāz na siskī na koī chīḳh kahīñ
dard mahbūs hai sahmī huī aaheñ qaidī
do ghaḌī ko hī haqīqat ye bhulāne ke liye
ḳhvāb dekhe koī kaise ki haiñ āñkheñ qaidī
yaas ke shahr meñ ummīd-e-sahar kaun kare
jab añdheroñ ne banā rakkhī hoñ rāteñ qaidī
dasht-e-hastī kā hai darpesh safar muddat se
be-nishāñ manzil-e-maqsūd hai rāheñ qaidī
gulshan-e-zīst pe Daalā hai ḳhizāñ ne Derā
kyā ḳhabar kis ke chaman kī haiñ bahāreñ qaidī
ham gunahgār-e-mohabbat kī muāfī bhī nahīñ
haath uThte hī nahīñ lab pe duā.eñ qaidī
zaḳhm maazī ke 'hinā' rahte haiñ har dam taaza
dil ke ik band darīche kī haiñ yādeñ qaidī
lab hain KHamosh zaban salb nigahen qaidi
zindagi nam ke zindan mein hain sansen qaidi
kal jo khultin thin mohabbat ki hararat pa kar
ho gain aaj wo be-baq si bahen qaidi
koi aawaz na siski na koi chiKH kahin
dard mahbus hai sahmi hui aahen qaidi
do ghaDi ko hi haqiqat ye bhulane ke liye
KHwab dekhe koi kaise ki hain aankhen qaidi
yas ke shahr mein ummid-e-sahar kaun kare
jab andheron ne bana rakkhi hon raaten qaidi
dasht-e-hasti ka hai darpesh safar muddat se
be-nishan manzil-e-maqsud hai rahen qaidi
gulshan-e-zist pe Dala hai KHizan ne Dera
kya KHabar kis ke chaman ki hain bahaaren qaidi
hum gunahgar-e-mohabbat ki muafi bhi nahin
hath uThte hi nahin lab pe duaen qaidi
zaKHm mazi ke 'hina' rahte hain har dam taza
dil ke ek band dariche ki hain yaaden qaidi
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.