lab kholne se pahle zara ye KHayal ho
lab kholne se pahle zarā ye ḳhayāl ho
aisā na kuchh kaho ki tumheñ phir malāl ho
mauqa' milā hai is ko gañvāo na is tarah
kuchh aisā tum karo ki jo bas be-misāl ho
pakḌo 'azīz jaañ se bhī kirdār ko sabhī
uñglī koī uThe na koī bhī savāl ho
vaqtī ḳhushī ko paane ko aisā na kuchh karo
daldal ho jis meñ phañsne kā phir ehtimāl ho
sarmāya kā nizām hai gar muft kuchh mile
ye dekh lo ki koī na dushman kī chaal ho
dānā.ī par tumhārī mujhe koī shak nahīñ
ye hai ki tum abhī zarā kuchh ḳhurd-sāl ho
lab kholne se pahle zara ye KHayal ho
aisa na kuchh kaho ki tumhein phir malal ho
mauqa' mila hai is ko ganwao na is tarah
kuchh aisa tum karo ki jo bas be-misal ho
pakDo 'aziz jaan se bhi kirdar ko sabhi
ungli koi uThe na koi bhi sawal ho
waqti KHushi ko pane ko aisa na kuchh karo
daldal ho jis mein phansne ka phir ehtimal ho
sarmaya ka nizam hai gar muft kuchh mile
ye dekh lo ki koi na dushman ki chaal ho
danai par tumhaari mujhe koi shak nahin
ye hai ki tum abhi zara kuchh KHurd-sal ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.