lab ko tere mai-kashi de jaungi
lab ko tere mai-kashī de jā.ūñgī
aur zabāñ ko shā.erī de jā.ūñgī
yuuñ nazar-andāz na kar ham-nashīñ
terī palkoñ par namī de jā.ūñgī
raas na aa.egī tujh ko bazm-e-ḳhās
anjuman ko vo kamī de jā.ūñgī
ḳhālī hogā dil kā jab kashkol tab
maiñ anā ko muflisī de jā.ūñgī
tū bazāhir hogā ik dānish magar
qais sī dīvāngī de jā.ūñgī
kaash tū hotā tajassus-āshnā
ruuh ko maiñ tishnagī de jā.ūñgī
tere mehvar kā qamar ban kar 'shaġhaf'
maiñ sadā kī tīrgī de jā.ūñgī
lab ko tere mai-kashi de jaungi
aur zaban ko shaeri de jaungi
yun nazar-andaz na kar ham-nashin
teri palkon par nami de jaungi
ras na aaegi tujh ko bazm-e-KHas
anjuman ko wo kami de jaungi
KHali hoga dil ka jab kashkol tab
main ana ko muflisi de jaungi
tu bazahir hoga ek danish magar
qais si diwangi de jaungi
kash tu hota tajassus-ashna
ruh ko main tishnagi de jaungi
tere mehwar ka qamar ban kar 'shaghaf'
main sada ki tirgi de jaungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.