lab-kushai ki jasarat bhi nahin kar sakte
lab-kushai ki jasarat bhi nahin kar sakte
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
lab-kushā.ī kī jasārat bhī nahīñ kar sakte
ham buzurgoñ kī shikāyat bhī nahīñ kar sakte
qāfila dard kā Thahrā hai jahāñ par aa kar
ham vahāñ tark-e-masāfat bhī nahīñ kar sakte
un ko sauñpā hai mirā kār-e-tahaffuz tum ne
jo ḳhud apnī hī hifāzat bhī nahīñ kar sakte
bandisheñ apnā muqaddar haiñ yahāñ par ham log
apnī marzī se ibādat bhī nahīñ kar sakte
jo muhāfiz haiñ vahī luuT rahe haiñ ham ko
ham to luTne kī shikāyat bhī nahīñ kar sakte
rok letī hai qadam baḌh ke vatan kī ḳhushbū
ham to ab tark-e-sukūnat bhī nahīñ kar sakte
lab-kushai ki jasarat bhi nahin kar sakte
hum buzurgon ki shikayat bhi nahin kar sakte
qafila dard ka Thahra hai jahan par aa kar
hum wahan tark-e-masafat bhi nahin kar sakte
un ko saunpa hai mera kar-e-tahaffuz tum ne
jo KHud apni hi hifazat bhi nahin kar sakte
bandishen apna muqaddar hain yahan par hum log
apni marzi se ibaadat bhi nahin kar sakte
jo muhafiz hain wahi luT rahe hain hum ko
hum to luTne ki shikayat bhi nahin kar sakte
rok leti hai qadam baDh ke watan ki KHushbu
hum to ab tark-e-sukunat bhi nahin kar sakte
- Book : سائبان غزل (Pg. 86)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.