lab-o-nazar ko tere pyar ki hansi na mili
lab-o-nazar ko tere pyar ki hansi na mili
Jagjeewan Lal Asthana sahar
MORE BYJagjeewan Lal Asthana sahar
lab-o-nazar ko tire pyaar kī hañsī na milī
kare jo dil meñ ujālā vo raushnī na milī
hazār baar chaman se bahār guzrī hai
ye aur baat hai phūloñ ko tāzgī na milī
ye kaisī raat hai kis shahr ke ye raste haiñ
jigar kā ḳhuun jalā bhī to raushnī na milī
vahāñ to kaT ga.iiñ aish-o-nishāt meñ umreñ
yahāñ to ek masarrat kī saañs bhī na milī
har ek phuul meñ paayā tirā hī rang-o-jamāl
koī bhī shakl gulistāñ meñ ajnabī na milī
tumhāre ruup kī ye chāñdnī bhī kyā kam hai
nahīñ ye fikr mujhe raushnī milī na milī
har ek raah ne duurī baḌhā.ī manzil kī
dikhā.e raah jo manzil kī vo kalī na milī
hamāre paañv kī zanjīr to banī kaḌiyāñ
diloñ ko joḌ de aisī koī kaḌī na milī
tamām umr tarastī rahī nigāh-e-'sahar'
ujāle din ke mile shab kī chāñdnī na milī
lab-o-nazar ko tere pyar ki hansi na mili
kare jo dil mein ujala wo raushni na mili
hazar bar chaman se bahaar guzri hai
ye aur baat hai phulon ko tazgi na mili
ye kaisi raat hai kis shahr ke ye raste hain
jigar ka KHun jala bhi to raushni na mili
wahan to kaT gain aish-o-nishat mein umren
yahan to ek masarrat ki sans bhi na mili
har ek phul mein paya tera hi rang-o-jamal
koi bhi shakl gulistan mein ajnabi na mili
tumhaare rup ki ye chandni bhi kya kam hai
nahin ye fikr mujhe raushni mili na mili
har ek rah ne duri baDhai manzil ki
dikhae rah jo manzil ki wo kali na mili
hamare panw ki zanjir to bani kaDiyan
dilon ko joD de aisi koi kaDi na mili
tamam umr tarasti rahi nigah-e-'sahar'
ujale din ke mile shab ki chandni na mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.