lab pe aai na mere ji ki baat
lab pe aa.ī na mere jī kī baat
baat jab kī to kī usī kī baat
bas vahī ek raushnī kī baat
kaun suntā hai tīrgī kī baat
jab mile tab karūñ parī kī baat
ab to kartā huuñ bas abhī kī baat
dekh kar roz-o-shab kā phir jaanā
'aql samjhī hai zindagī kī baat
kis ne sochā thā aadmī hī bhalā
sun sakegā na aadmī kī baat
tīrgī laakh rāsta roke
phail rahtī hai raushnī kī baat
sun ke merī hue vo yuuñ goyā
jab bhī kī tū ne bas vahī kī baat
ruuTh jaane kā ḳhadsha thā 'sā.in'
varna kah lete ḳhud se jī kī baat
lab pe aai na mere ji ki baat
baat jab ki to ki usi ki baat
bas wahi ek raushni ki baat
kaun sunta hai tirgi ki baat
jab mile tab karun pari ki baat
ab to karta hun bas abhi ki baat
dekh kar roz-o-shab ka phir jaana
'aql samjhi hai zindagi ki baat
kis ne socha tha aadmi hi bhala
sun sakega na aadmi ki baat
tirgi lakh rasta roke
phail rahti hai raushni ki baat
sun ke meri hue wo yun goya
jab bhi ki tu ne bas wahi ki baat
ruTh jaane ka KHadsha tha 'sain'
warna kah lete KHud se ji ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.