lab pe tabassum roz sajaana paDta hai
lab pe tabassum roz sajānā paḌtā hai
ġham apnā is tarah chhupānā paḌtā hai
aisā bhī hotā hai usūlī jangoñ meñ
haar ko bhī siine se lagānā paḌtā hai
khā kar rūkhī-sūkhī nanhe bachchoñ ko
peT kā sho.ala roz bujhānā paḌtā hai
joḌ rahe haiñ paisa paisa sab lekin
sab duniyā meñ chhoḌ ke jaanā paḌtā hai
ham mazdūroñ kī qismat meñ chhāñv kahāñ
dhuup meñ ḳhud ko roz jalānā paḌtā hai
jhūTī tasallī de de kar armānoñ ko
saarā saarā din bahlānā paḌtā hai
peT kī aag bujhāne ko 'darvesh' yahāñ
qatra qatra ḳhuun jalānā paḌtā hai
lab pe tabassum roz sajaana paDta hai
gham apna is tarah chhupana paDta hai
aisa bhi hota hai usuli jangon mein
haar ko bhi sine se lagana paDta hai
kha kar rukhi-sukhi nanhe bachchon ko
peT ka shoala roz bujhana paDta hai
joD rahe hain paisa paisa sab lekin
sab duniya mein chhoD ke jaana paDta hai
hum mazduron ki qismat mein chhanw kahan
dhup mein KHud ko roz jalana paDta hai
jhuTi tasalli de de kar armanon ko
sara sara din bahlana paDta hai
peT ki aag bujhane ko 'darwesh' yahan
qatra qatra KHun jalana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.