lab taraste hain tabassum ko ek zamane se
lab taraste haiñ tabassum ko ik zamāne se
dard-e-dil kam nahīñ hotā hai muskurāne se
imtihāñ ishq meñ ham ne to ka.ī baar diye
farq paḌtā nahīñ kuchh un ke sitam Dhāne se
vahshat-e-ishq meñ dīvāne fanā hote haiñ
ye sabaq miltā hai parvānoñ ke jal jaane se
dil bahal jā.egā tanhā.ī meñ bāteñ kar ke
jā ke ik but to uThā laao sanam-ḳhāne se
ho gayā ḳhaak nasheman to ye bādal aa.e
fā.eda kuchh nahīñ ab kaalī ghaTā chhāne se
ai 'samar' chup raho mat chheḌo yahāñ zikr-e-vafā
raaz khul jaa.e na ashkoñ ke nikal jaane se
lab taraste hain tabassum ko ek zamane se
dard-e-dil kam nahin hota hai muskurane se
imtihan ishq mein hum ne to kai bar diye
farq paDta nahin kuchh un ke sitam Dhane se
wahshat-e-ishq mein diwane fana hote hain
ye sabaq milta hai parwanon ke jal jaane se
dil bahal jaega tanhai mein baaten kar ke
ja ke ek but to uTha lao sanam-KHane se
ho gaya KHak nasheman to ye baadal aae
faeda kuchh nahin ab kali ghaTa chhane se
ai 'samar' chup raho mat chheDo yahan zikr-e-wafa
raaz khul jae na ashkon ke nikal jaane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.