labon ke pas tumhaare kahan se aai choT
laboñ ke paas tumhāre kahāñ se aa.ī choT
burā ho ġhair kā us ne dī ye parā.ī choT
tirī nazar ne is andāz se lagā.ī choT
nishāna dil kā liyā aur jigar pe aa.ī choT
ye kyā kahā ki bichhaḌ kar hameñ lagā.ī choT
visāl ham se kare hai shab-e-judā.ī choT
unheñ gavāra nahīñ koī ḳhūb-rū ḳhud sā
jo aa.ine meñ bhī dekhā use lagā.ī choT
banī hai ahl-e-suḳhan ke har ik maraz kī davā
ġhazal meñ hazrat-e-'hāris' ne kyā nibhā.ī choT
tah-e-mazār hamārā 'azāb ḳhatm huā
jo tum ne Thokaroñ se qabr par lagā.ī choT
lagā huā hai use merī aah kā chaska
davā se kartī rahī hai mirī burā.ī choT
burā na kar sakā kuchh zaḳhm-e-dil hamārā ki ham
jahāñ meñ laa.e the us par lagī-lagā.ī choT
sabab jo dāvar-e-mahshar ne is se pūchh liyā
tumhārī samt nazar kar ke muskurā.ī choT
sitam-zarīf koī had sitam kī bhī hogī
tirī nazar se kahāñ tak kare laḌā.ī choT
ġhazal to kaam hai 'hāris' zabān vāloñ kā
baḌe-baḌoñ ne suḳhan meñ yahāñ pe khaa.ī choT
labon ke pas tumhaare kahan se aai choT
bura ho ghair ka us ne di ye parai choT
teri nazar ne is andaz se lagai choT
nishana dil ka liya aur jigar pe aai choT
ye kya kaha ki bichhaD kar hamein lagai choT
visal hum se kare hai shab-e-judai choT
unhen gawara nahin koi KHub-ru KHud sa
jo aaine mein bhi dekha use lagai choT
bani hai ahl-e-suKHan ke har ek maraz ki dawa
ghazal mein hazrat-e-'haaris' ne kya nibhai choT
tah-e-mazar hamara 'azab KHatm hua
jo tum ne Thokaron se qabr par lagai choT
laga hua hai use meri aah ka chaska
dawa se karti rahi hai meri burai choT
bura na kar saka kuchh zaKHm-e-dil hamara ki hum
jahan mein lae the us par lagi-lagai choT
sabab jo dawar-e-mahshar ne is se puchh liya
tumhaari samt nazar kar ke muskurai choT
sitam-zarif koi had sitam ki bhi hogi
teri nazar se kahan tak kare laDai choT
ghazal to kaam hai 'haaris' zaban walon ka
baDe-baDon ne suKHan mein yahan pe khai choT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.