labon par un ke hayat-afrin hansi na rahi
laboñ par un ke hayāt-āfrīñ hañsī na rahī
guloñ meñ ruuh sitāroñ meñ raushnī na rahī
ḳhudā shanāsoñ kī pahchān hī koī na rahī
ki sar-kashī bhī ba-andāz-e-sar-kashī na rahī
fasāna gardish-e-daurāñ kā nazm kar lete
magar nigāh meñ un kī vo barhamī na rahī
vaqār-e-zauq-e-tajassus pe harf aa.egā
agar sharīk-e-safar apne gumrahī na rahī
hai apnā soz-e-tabassum sharīk-e-sāz-e-chaman
asīr-e-girya-e-shabnam koī kalī na rahī
rahe nigāh meñ ādāb-e-laġhzish-e-ulfat
ḳhudī se dab ke kabhī apnī be-ḳhudī na rahī
milā thā mauqa-e-takmīl-e-dāstān-e-hayāt
jabīn-e-gul pe shikan aur kheltī na rahī
shab-e-firāq kuchh aise bhī hādse guzre
charāġh jalte rahe aur raushnī na rahī
banā.e ham ne 'shifā' dostī ke vo sāñche
ki dushmanoñ ko tamannā-e-dushmanī na rahī
labon par un ke hayat-afrin hansi na rahi
gulon mein ruh sitaron mein raushni na rahi
KHuda shanason ki pahchan hi koi na rahi
ki sar-kashi bhi ba-andaz-e-sar-kashi na rahi
fasana gardish-e-dauran ka nazm kar lete
magar nigah mein un ki wo barhami na rahi
waqar-e-zauq-e-tajassus pe harf aaega
agar sharik-e-safar apne gumrahi na rahi
hai apna soz-e-tabassum sharik-e-saz-e-chaman
asir-e-girya-e-shabnam koi kali na rahi
rahe nigah mein aadab-e-laghzish-e-ulfat
KHudi se dab ke kabhi apni be-KHudi na rahi
mila tha mauqa-e-takmil-e-dastan-e-hayat
jabin-e-gul pe shikan aur khelti na rahi
shab-e-firaq kuchh aise bhi hadse guzre
charagh jalte rahe aur raushni na rahi
banae hum ne 'shifa' dosti ke wo sanche
ki dushmanon ko tamanna-e-dushmani na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.