labon pe ab koi aah-o-fughan nahin hoti
laboñ pe ab koī āh-o-fuġhāñ nahīñ hotī
zabāñ se dil kī kahānī bayāñ nahīñ hotī
ḳhalish to aaj bhī hotī hai mere siine meñ
nashist-e-dard jahāñ thī vahāñ nahīñ hotī
ḳhudā ne chāhā to mil jā.eñge kahīñ na kahīñ
bichhaḌ ke ḳhatm yahāñ dāstāñ nahīñ hotī
jo ḳhud se milte haiñ ham be-ḳhudī ke aalam meñ
tumhārī yaad talak darmiyāñ nahīñ hotī
vo qatl ho ke bhī qātil pe muskurātī hai
ajal se ziist kabhī bad-gumāñ nahīñ hotī
tumhāre chāhne vaale vahāñ nahīñ milte
diloñ meñ dard kī shiddat jahāñ nahīñ hotī
labon pe ab koi aah-o-fughan nahin hoti
zaban se dil ki kahani bayan nahin hoti
KHalish to aaj bhi hoti hai mere sine mein
nashist-e-dard jahan thi wahan nahin hoti
KHuda ne chaha to mil jaenge kahin na kahin
bichhaD ke KHatm yahan dastan nahin hoti
jo KHud se milte hain hum be-KHudi ke aalam mein
tumhaari yaad talak darmiyan nahin hoti
wo qatl ho ke bhi qatil pe muskuraati hai
ajal se zist kabhi bad-guman nahin hoti
tumhaare chahne wale wahan nahin milte
dilon mein dard ki shiddat jahan nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.