labon pe apne gulabon ki tazgi rakhna
laboñ pe apne gulāboñ kī tāzgī rakhnā
magar mizāj haqīqat meñ ātishī rakhnā
kabhī kabhī shab-e-hālāt ke añdheroñ meñ
bahut zarūrī hai āñkhoñ ko shabnamī rakhnā
yahī mazāq bahut umda hai javānī meñ
makān-e-shauq meñ mehmān ajnabī rakhnā
bahut ḳhulūs se ahbāb mujh se kahte haiñ
zabāñ bayāñ meñ ye andāz dā.imī rakhnā
sabaq milā yahī aslāf se mujhe 'anvar'
ġhazal meñ husn-o-latāfat kī chāshnī rakhnā
labon pe apne gulabon ki tazgi rakhna
magar mizaj haqiqat mein aatishi rakhna
kabhi kabhi shab-e-haalat ke andheron mein
bahut zaruri hai aankhon ko shabnami rakhna
yahi mazaq bahut umda hai jawani mein
makan-e-shauq mein mehman ajnabi rakhna
bahut KHulus se ahbab mujh se kahte hain
zaban bayan mein ye andaz daimi rakhna
sabaq mila yahi aslaf se mujhe 'anwar'
ghazal mein husn-o-latafat ki chashni rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.