labon pe apne hansi saja kar main ji raha hun tumhaari KHatir
labon pe apne hansi saja kar main ji raha hun tumhaari KHatir
Shad Nimbahedi
MORE BYShad Nimbahedi
laboñ pe apne hañsī sajā kar maiñ jī rahā huuñ tumhārī ḳhātir
tamām sadmoñ ko yuuñ chhupā kar maiñ jī rahā huuñ tumhārī ḳhātir
vo vaqt-e-ruḳhsat tumhārā hañsnā namī thī āñkhoñ meñ ḳhuub lekin
sabhī judā.ī ke ġham bhulā kar maiñ jī rahā huuñ tumhārī ḳhātir
ḳhamosh dhaḌkan khulī haiñ āñkheñ ġham-e-judā.ī siyāh rāteñ
charāġh-e-ulfat jalā jalā kar maiñ jī rahā huuñ tumhārī ḳhātir
jinheñ laboñ se thā maiñ ne chūmā jinheñ mohabbat thā maiñ ne maanā
unhīñ ḳhatoñ ko kahīñ bahā kar maiñ jī rahā huuñ tumhārī ḳhātir
jahāñ meñ aa.e pata nahīñ kyoñ koī batā.e ye 'shād' mujh ko
janāza ḳhud kā ḳhudī uThā kar maiñ jī rahā huuñ tumhārī ḳhātir
labon pe apne hansi saja kar main ji raha hun tumhaari KHatir
tamam sadmon ko yun chhupa kar main ji raha hun tumhaari KHatir
wo waqt-e-ruKHsat tumhaara hansna nami thi aankhon mein KHub lekin
sabhi judai ke gham bhula kar main ji raha hun tumhaari KHatir
KHamosh dhaDkan khuli hain aankhen gham-e-judai siyah raaten
charagh-e-ulfat jala jala kar main ji raha hun tumhaari KHatir
jinhen labon se tha main ne chuma jinhen mohabbat tha main ne mana
unhin KHaton ko kahin baha kar main ji raha hun tumhaari KHatir
jahan mein aae pata nahin kyon koi batae ye 'shad' mujh ko
janaza KHud ka KHudi uTha kar main ji raha hun tumhaari KHatir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.