labon pe lala-o-gul ke wo ab hansi na rahi
laboñ pe lāla-o-gul ke vo ab hañsī na rahī
nasīm-e-sub.h ke jhoñkoñ meñ tāzgī na rahī
ye aaj kaisī pilā.ī hai ai mire saaqī
ḳhudī kā daur gayā aur be-ḳhudī na rahī
kiyā agarche bahut pā.emāl gardūñ ne
tire sitam kī bhī zālim magar kamī na rahī
kisī ne rū-e-hasīñ se naqāb kyā ulTī
falak pe chāñd sitāroñ meñ raushnī na rahī
zarūr ā.eñge vo ab yaqīn hai mujh ko
dil-e-hazīñ meñ vo pahlī sī bekalī na rahī
na mujh se pūchh tū rūdād-e-zindagī 'paikāñ'
jahān-e-zīst meñ koī bhī dilkashī na rahī
labon pe lala-o-gul ke wo ab hansi na rahi
nasim-e-subh ke jhonkon mein tazgi na rahi
ye aaj kaisi pilai hai ai mere saqi
KHudi ka daur gaya aur be-KHudi na rahi
kiya agarche bahut paemal gardun ne
tere sitam ki bhi zalim magar kami na rahi
kisi ne ru-e-hasin se naqab kya ulTi
falak pe chand sitaron mein raushni na rahi
zarur aaenge wo ab yaqin hai mujh ko
dil-e-hazin mein wo pahli si bekali na rahi
na mujh se puchh tu rudad-e-zindagi 'paikan'
jahan-e-zist mein koi bhi dilkashi na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.