labon pe mohr-e-KHamoshi zaban pe tala hai
laboñ pe mohr-e-ḳhamoshī zabāñ pe taalā hai
zarūr phir koī tūfān aane vaalā hai
agar ye thaam na letī to gir paḌā hotā
tumhārī yaad ne mujh ko baḌā sañbhālā hai
kisī ke chehre pe bikhrī haiñ jā-ba-jā zulfeñ
kahīñ paḌā hai añdherā kahīñ ujālā hai
abhī to aage bahut imtihān baaqī hai
abhī to sirf parindoñ ne par nikālā hai
mire liye to yahī intizām kaafī hai
ki mai-kadoñ meñ mire naam kā piyāla hai
usī kī zaat se hai saarī kā.enāt meñ rang
usī ke husn kā duniyā meñ bol-bālā hai
agar zamīr kī qindīl ho ga.ī raushan
to phir samajhiye añdhere meñ bhī ujālā hai
raheñ charāġh bhalā kis tarah 'zakī' mahfūz
havā.eñ DhūñD rahī haiñ kahāñ ujālā hai
labon pe mohr-e-KHamoshi zaban pe tala hai
zarur phir koi tufan aane wala hai
agar ye tham na leti to gir paDa hota
tumhaari yaad ne mujh ko baDa sanbhaala hai
kisi ke chehre pe bikhri hain ja-ba-ja zulfen
kahin paDa hai andhera kahin ujala hai
abhi to aage bahut imtihan baqi hai
abhi to sirf parindon ne par nikala hai
mere liye to yahi intizam kafi hai
ki mai-kadon mein mere nam ka piyala hai
usi ki zat se hai sari kaenat mein rang
usi ke husn ka duniya mein bol-baala hai
agar zamir ki qindil ho gai raushan
to phir samajhiye andhere mein bhi ujala hai
rahen charagh bhala kis tarah 'zaki' mahfuz
hawaen DhunD rahi hain kahan ujala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.