labon pe pyas wo tahrir karne wala hai
laboñ pe pyaas vo tahrīr karne vaalā hai
shu’ūr-e-zāt ko taqrīr karne vaalā hai
jo ḳhvāb dushman-e-jāñ hai use vo aaj kī raat
hamārī aañkh meñ tasvīr karne vaalā hai
ye shor chāroñ taraf hai ki aaj shaam ke baa'd
hameñ vo sāhab-e-taqdīr karne vaalā hai
sunā hai aaj dikhā.egā rang-e-harf-o-navā
chalo ki aaj vo taqrīr karne vaalā hai
sunā hai phir se khilā.egā mujh meñ ḳhvāb ke phuul
guzishta rishtoñ kī tā'mīr karne vaalā hai
nikal gayā jo kabhī muñh se be-ḳhayālī meñ
us ek lafz ko jāgīr karne vaalā hai
safar hai sadiyoñ kā jis ko ki merā pā-e-talab
bas ek pal hī meñ zanjīr karne vaalā hai
sunā hai aaj milegā vo ġham-nasīboñ se
sipāh-e-dard ko zanjīr karne vaalā hai
labon pe pyas wo tahrir karne wala hai
shu’ur-e-zat ko taqrir karne wala hai
jo KHwab dushman-e-jaan hai use wo aaj ki raat
hamari aankh mein taswir karne wala hai
ye shor chaaron taraf hai ki aaj sham ke ba'd
hamein wo sahab-e-taqdir karne wala hai
suna hai aaj dikhaega rang-e-harf-o-nawa
chalo ki aaj wo taqrir karne wala hai
suna hai phir se khilaega mujh mein KHwab ke phul
guzishta rishton ki ta'mir karne wala hai
nikal gaya jo kabhi munh se be-KHayali mein
us ek lafz ko jagir karne wala hai
safar hai sadiyon ka jis ko ki mera pa-e-talab
bas ek pal hi mein zanjir karne wala hai
suna hai aaj milega wo gham-nasibon se
sipah-e-dard ko zanjir karne wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.