labon pe qufl rahe kan apne band rakho
laboñ pe qufl rahe kaan apne band rakho
baġhair chūn-o-charā ḳhud ko kār-band rakkho
kisī ġharīb kī beTī jo ho to ho rusvā
huzūr naam tum apnā hī sar-buland rakho
kisī kā ranj ghaTāo nahīñ zarūrī koī
faqat dikhāve ko sūrat hī dard-mañd rakho
tumhāre saath agar ho taḌap ke chīḳh uTho
vo dūsroñ ke liye baat kyoñ pasand rakho
kabhī kisī ko bhī kamtar ḳhayāl mat karnā
diloñ se duur hamesha tum aisā gañd rakkho
vo apne aap meñ kāmil ḳhayāl hai us kā
so us ke aage nasīhat na koī pand rakho
maqām logoñ meñ tum ko agar banānā hai
miThās bātoñ meñ aur apnā lahja qand rakho
'rashīd' maanā ki dushman hazār haiñ lekin
jaḌoñ ke kāTne ko dost bhī to chand rakkho
labon pe qufl rahe kan apne band rakho
baghair chun-o-chara KHud ko kar-band rakkho
kisi gharib ki beTi jo ho to ho ruswa
huzur nam tum apna hi sar-buland rakho
kisi ka ranj ghaTao nahin zaruri koi
faqat dikhawe ko surat hi dard-mand rakho
tumhaare sath agar ho taDap ke chiKH uTho
wo dusron ke liye baat kyon pasand rakho
kabhi kisi ko bhi kamtar KHayal mat karna
dilon se dur hamesha tum aisa gand rakkho
wo apne aap mein kaamil KHayal hai us ka
so us ke aage nasihat na koi pand rakho
maqam logon mein tum ko agar banana hai
miThas baaton mein aur apna lahja qand rakho
'rashid' mana ki dushman hazar hain lekin
jaDon ke kaTne ko dost bhi to chand rakkho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.