labon se go abhi kahte nahin ho
laboñ se go abhī kahte nahīñ ho
mohabbat tum bhī kam karte nahīñ ho
shajar par dekh ke ḳhush ho rahe ho
samar ko toḌ kar chakhte nahīñ ho
maiñ tum pe ruk ga.ī huuñ jhiil jaise
magar dariyā ho tum rukte nahīñ ho
mohabbat tujh ko ashkoñ se bhī sīñchā
vo paude ho ki jo baḌhte nahīñ ho
bahut maġhrūr hote jā rahe ho
ye kyā ki baat bhī karte nahīñ ho
sabhī se dūsrā haT ho rahī hai
magar tum dūsre lagte nahīñ ho
mirī āñkhoñ se ḳhud ko dekh lenā
kisī hero se kam lagte nahīñ ho
tumheñ yuuñ bhī to mar jaanā hai ik din
'samīna' par magar marte nahīñ ho
labon se go abhi kahte nahin ho
mohabbat tum bhi kam karte nahin ho
shajar par dekh ke KHush ho rahe ho
samar ko toD kar chakhte nahin ho
main tum pe ruk gai hun jhil jaise
magar dariya ho tum rukte nahin ho
mohabbat tujh ko ashkon se bhi sincha
wo paude ho ki jo baDhte nahin ho
bahut maghrur hote ja rahe ho
ye kya ki baat bhi karte nahin ho
sabhi se dusra haT ho rahi hai
magar tum dusre lagte nahin ho
meri aankhon se KHud ko dekh lena
kisi hero se kam lagte nahin ho
tumhein yun bhi to mar jaana hai ek din
'samina' par magar marte nahin ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.