labon se kuchh na kaha muddaa jata bhi diya
laboñ se kuchh na kahā mudda.ā jatā bhī diyā
vo merī baat pe chupke se muskurā bhī diyā
havā kī zad meñ mujhe chhoḌ bhī diyā us ne
aur ik charāġh mirī ruuh meñ jalā bhī diyā
ga.e dinoñ ke havāle se mat milo mujh se
vo vāqi.a to bahut din hue bhulā bhī diyā
vo shaḳhs jis ke sabab Thokareñ milīñ aksar
usī ne mujh ko sañbhalne kā hausla bhī diyā
use yaqīñ thā ki maiñ phir use pukārūñgā
mujhe gumāñ thā ki maiñ ne use bhulā bhī diyā
labon se kuchh na kaha muddaa jata bhi diya
wo meri baat pe chupke se muskura bhi diya
hawa ki zad mein mujhe chhoD bhi diya us ne
aur ek charagh meri ruh mein jala bhi diya
gae dinon ke hawale se mat milo mujh se
wo waqia to bahut din hue bhula bhi diya
wo shaKHs jis ke sabab Thokaren milin aksar
usi ne mujh ko sanbhalne ka hausla bhi diya
use yaqin tha ki main phir use pukarunga
mujhe guman tha ki main ne use bhula bhi diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.