labon se TuT jata hai kabhi aawaz ka rishta
laboñ se TuuT jaatā hai kabhī āvāz kā rishta
bahut nāzuk huā kartā hai soz-o-sāz kā rishta
ta'alluq hai to bas ham se mohabbat hai to bas ham se
ḳhudā jaane ye kaisā hai tire andāz kā rishta
hamāre dil ke zaḳhmoñ ko jagātā hai sulātā hai
kabhī anjām kā rishta kabhī āġhāz kā rishta
dil-e-nādāñ huā hai bārhā zaḳhmī to kyā ġham hai
hameñ manzūr hai phir bhī nigāh-e-nāz kā rishta
gale lag jaa.eñ ham bhī ki ravādārī kā mausam hai
nibhāte haiñ yahāñ kāñTe bhī gul se naaz kā rishta
hamāre fikr-o-fan kī raushnī meñ ham to zinda haiñ
yūñhī paidā nahīñ hotā kahīñ e.azāz kā rishta
na.ī ik zindagī detā hai lafzoñ ko tar-o-tāza
kabhī uslūb kā rishta kabhī alfāz kā rishta
'nazar' har pūchhne vaale ko itnā hī batā detā
hameñ ab khaa.e jaatā hai kisī dam-sāz kā rishta
labon se TuT jata hai kabhi aawaz ka rishta
bahut nazuk hua karta hai soz-o-saz ka rishta
ta'alluq hai to bas hum se mohabbat hai to bas hum se
KHuda jaane ye kaisa hai tere andaz ka rishta
hamare dil ke zaKHmon ko jagata hai sulata hai
kabhi anjam ka rishta kabhi aaghaz ka rishta
dil-e-nadan hua hai barha zaKHmi to kya gham hai
hamein manzur hai phir bhi nigah-e-naz ka rishta
gale lag jaen hum bhi ki rawadari ka mausam hai
nibhate hain yahan kanTe bhi gul se naz ka rishta
hamare fikr-o-fan ki raushni mein hum to zinda hain
yunhi paida nahin hota kahin eazaz ka rishta
nai ek zindagi deta hai lafzon ko tar-o-taza
kabhi uslub ka rishta kabhi alfaz ka rishta
'nazar' har puchhne wale ko itna hi bata deta
hamein ab khae jata hai kisi dam-saz ka rishta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.