labrez ho chuka hai paimana zindagi ka
labrez ho chukā hai paimāna zindagī kā
sun jaao ab bhī aa kar afsāna zindagī kā
jab haal aap hī ne pūchhā na zindagī kā
phir kis ko ham sunā.eñ afsāna zindagī kā
ab ham haiñ aur zālim terī galī ke chakkar
gardish meñ aa gayā hai paimāna zindagī kā
kyā aap sun sakeñge rūdād-e-yās-o-hasrat
kyā aap ko sunā.ūñ afsāna zindagī kā
aao ki be-tumhāre dam ruk gayā hai lab par
kyoñ tuul kar rahī ho afsāna zindagī kā
ḳhud mere chārāgar kā chehra utar chalā hai
ab de fareb mujh ko duniyā na zindagī kā
aao ki aa rahe haiñ ab naza.a ke pasīne
ya.anī chhalak chalā hai paimāna zindagī kā
tum bhī ho kuchh ḳhajil se merā bhī ruk chalā dam
kah do to ḳhatm kar duuñ afsāna zindagī kā
dāman pe gir rahe haiñ ai 'abr' ashk-e-rañgīñ
likhtā huuñ ḳhūn-e-dil se afsāna zindagī kā
labrez ho chuka hai paimana zindagi ka
sun jao ab bhi aa kar afsana zindagi ka
jab haal aap hi ne puchha na zindagi ka
phir kis ko hum sunaen afsana zindagi ka
ab hum hain aur zalim teri gali ke chakkar
gardish mein aa gaya hai paimana zindagi ka
kya aap sun sakenge rudad-e-yas-o-hasrat
kya aap ko sunaun afsana zindagi ka
aao ki be-tumhaare dam ruk gaya hai lab par
kyon tul kar rahi ho afsana zindagi ka
KHud mere chaaragar ka chehra utar chala hai
ab de fareb mujh ko duniya na zindagi ka
aao ki aa rahe hain ab naza ke pasine
yani chhalak chala hai paimana zindagi ka
tum bhi ho kuchh KHajil se mera bhi ruk chala dam
kah do to KHatm kar dun afsana zindagi ka
daman pe gir rahe hain ai 'abr' ashk-e-rangin
likhta hun KHun-e-dil se afsana zindagi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.