laD rahe sans se zindagi ke liye
laḌ rahe saañs se zindagī ke liye
dil jalāte rahe raushnī ke liye
ġham uThātā rahā umr bhar fā.eda
chand pal kī hañsī aur ḳhushī ke liye
sāhiloñ se kabhī nāḳhudā se kabhī
ham ne kī dostī ik nadī ke liye
hai baḌā hī kaThin kaam duniyā meñ ye
DhūñDhnā aadmī aadmī ke liye
ye bichhaḌte hue kah ga.ī dil-rubā
tum bane ho miyāñ shā.erī ke liye
vaqt kī thī kamī gardishoñ ke the din
vaqt denā paḌā har kisī ke liye
yaad hai na tumheñ baat ‘gustāḳh’ kī
buzdilī chāhiye ḳhud-kushī ke liye
laD rahe sans se zindagi ke liye
dil jalate rahe raushni ke liye
gham uThata raha umr bhar faeda
chand pal ki hansi aur KHushi ke liye
sahilon se kabhi naKHuda se kabhi
hum ne ki dosti ek nadi ke liye
hai baDa hi kaThin kaam duniya mein ye
DhunDhna aadmi aadmi ke liye
ye bichhaDte hue kah gai dil-ruba
tum bane ho miyan shaeri ke liye
waqt ki thi kami gardishon ke the din
waqt dena paDa har kisi ke liye
yaad hai na tumhein baat ‘gustaKH’ ki
buzdili chahiye KHud-kushi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.