laDai ho to kaghaz ki sipar se kuchh nahin hota
laḌā.ī ho to kāġhaz kī sipar se kuchh nahīñ hotā
tumhārī yā kisī kī chashm-e-tar se kuchh nahīñ hotā
ragoñ meñ hai añdherā to ye roz-o-shab hī kaafī haiñ
hadīs-e-ḳhair se yā harf-e-shar se kuchh nahīñ hotā
koī saa.at muqarrar hai kahīñ ik mustajābī kī
kaf-e-afsos se dast-e-hunar se kuchh nahīñ hotā
unheñ un ke havārī ham-suḳhan badnām karte haiñ
tirī afvāh se merī ḳhabar se kuchh nahīñ hotā
kaḌe din kaTte kaTte bhī saroñ kī fasl kaTtī hai
ki dasht-e-karbalā meñ ek sar se kuchh nahīñ hotā
makān apne makīnoñ se hasīñ aur ḳhūbsūrat haiñ
faqat ārā.ish-e-dīvār-o-dar se kuchh nahīñ hotā
junūñ ko chāhiye ik tesha-e-a.amāl kā mausam
yahāñ alfāz ke zer-o-zabar se kuchh nahīñ hotā
bahut baḌh jaatī hai sanjīdgī jab donoñ jānib to
sivā afsos ke hāsil safar se kuchh nahīñ hotā
'kafīl' ik sā.ebāñ sar par rahe maañ kī duāoñ kā
mirā nuqsāñ kisī hāsid nazar se kuchh nahīñ hotā
laDai ho to kaghaz ki sipar se kuchh nahin hota
tumhaari ya kisi ki chashm-e-tar se kuchh nahin hota
ragon mein hai andhera to ye roz-o-shab hi kafi hain
hadis-e-KHair se ya harf-e-shar se kuchh nahin hota
koi saat muqarrar hai kahin ek mustajabi ki
kaf-e-afsos se dast-e-hunar se kuchh nahin hota
unhen un ke hawari ham-suKHan badnam karte hain
teri afwah se meri KHabar se kuchh nahin hota
kaDe din kaTte kaTte bhi saron ki fasl kaTti hai
ki dasht-e-karbala mein ek sar se kuchh nahin hota
makan apne makinon se hasin aur KHubsurat hain
faqat aaraish-e-diwar-o-dar se kuchh nahin hota
junun ko chahiye ek tesha-e-amal ka mausam
yahan alfaz ke zer-o-zabar se kuchh nahin hota
bahut baDh jati hai sanjidgi jab donon jaanib to
siwa afsos ke hasil safar se kuchh nahin hota
'kafil' ek saeban sar par rahe man ki duaon ka
mera nuqsan kisi hasid nazar se kuchh nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.