laDkhaDate qadam hain aur main hun
laḌkhaḌāte qadam haiñ aur maiñ huuñ
bas sitam par sitam haiñ aur maiñ huuñ
dil kī mahfil meñ ab rakhā kyā hai
raqs-e-paiham alam haiñ aur maiñ huuñ
dair-o-ka.aba tumheñ mubārak ho
un ke naqsh-e-qadam haiñ aur maiñ huuñ
kitnī sadiyāñ guzar ga.iiñ lekin
vahī zulm-o-sitam haiñ aur maiñ huuñ
ik tirā dard hī nahīñ tanhā
aise kitne hī ġham haiñ aur maiñ huuñ
merī ḳhātir tū kyoñ pareshāñ hai
saath tere karam haiñ aur maiñ huuñ
jaane saaqī kī aarzū kyā hai
ḳhum-o-sāġhar haiñ sam haiñ aur maiñ huuñ
laDkhaDate qadam hain aur main hun
bas sitam par sitam hain aur main hun
dil ki mahfil mein ab rakha kya hai
raqs-e-paiham alam hain aur main hun
dair-o-kaba tumhein mubarak ho
un ke naqsh-e-qadam hain aur main hun
kitni sadiyan guzar gain lekin
wahi zulm-o-sitam hain aur main hun
ek tera dard hi nahin tanha
aise kitne hi gham hain aur main hun
meri KHatir tu kyon pareshan hai
sath tere karam hain aur main hun
jaane saqi ki aarzu kya hai
KHum-o-saghar hain sam hain aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.