laDkiyan ghar mein nikhar aai hain phulon ki tarah
laḌkiyāñ ghar meñ nikhar aa.ī haiñ phūloñ kī tarah
vaqt Thahrā hai magar sūkhī babūloñ kī tarah
dil to kahtā hai ki har haath pe bai'at kar leñ
log yuuñ raah meñ milte haiñ rasūloñ kī tarah
chhat ko thāme raho is shahr meñ insān abhī
sar uThā.e hue phirte haiñ bagūloñ kī tarah
terī shartoñ pe mujhe zindagī manzūr nahīñ
maiñ ne chāhā hai tujhe apne usūloñ kī tarah
dekh lenā mirī tasvīr ko hasrat se sahī
yaad aa.uuñ jo kabhī maiñ tujhe phūloñ kī tarah
kal kī tārīḳh tumheñ aisī sazā degī 'zafar'
ghar meñ laTkā diye jāoge maqūloñ kī tarah
laDkiyan ghar mein nikhar aai hain phulon ki tarah
waqt Thahra hai magar sukhi babulon ki tarah
dil to kahta hai ki har hath pe bai'at kar len
log yun rah mein milte hain rasulon ki tarah
chhat ko thame raho is shahr mein insan abhi
sar uThae hue phirte hain bagulon ki tarah
teri sharton pe mujhe zindagi manzur nahin
main ne chaha hai tujhe apne usulon ki tarah
dekh lena meri taswir ko hasrat se sahi
yaad aaun jo kabhi main tujhe phulon ki tarah
kal ki tariKH tumhein aisi saza degi 'zafar'
ghar mein laTka diye jaoge maqulon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.