laDkiyan maon jaise muqaddar kyon rakhti hain
laḌkiyāñ maaoñ jaise muqaddar kyoñ rakhtī haiñ
tan sahrā aur aañkh samundar kyoñ rakhtī haiñ
aurteñ apne dukh kī virāsat kis ko deñgī
sandūqoñ meñ band ye zevar kyoñ rakhtī haiñ
vo jo aap hī puujī jaane ke laa.eq thiiñ
champā sī poroñ meñ patthar kyoñ rakhtī haiñ
vo jo rahī haiñ ḳhālī peT aur nañge paañv
bachā bachā kar sar kī chādar kyoñ rakhtī haiñ
band havelī meñ jo sānahe ho jaate haiñ
un kī ḳhabar dīvāreñ aksar kyoñ rakhtī haiñ
sub.h-e-visāl kī kirneñ ham se pūchh rahī haiñ
rāteñ apne haath meñ ḳhanjar kyoñ rakhtī haiñ
laDkiyan maon jaise muqaddar kyon rakhti hain
tan sahra aur aankh samundar kyon rakhti hain
aurten apne dukh ki wirasat kis ko dengi
sanduqon mein band ye zewar kyon rakhti hain
wo jo aap hi puji jaane ke laeq thin
champa si poron mein patthar kyon rakhti hain
wo jo rahi hain KHali peT aur nange panw
bacha bacha kar sar ki chadar kyon rakhti hain
band haweli mein jo sanahe ho jate hain
un ki KHabar diwaren aksar kyon rakhti hain
subh-e-visal ki kirnen hum se puchh rahi hain
raaten apne hath mein KHanjar kyon rakhti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.