laDta hai mushkil se par mushkil-kusha hota nahin
laḌtā hai mushkil se par mushkil-kushā hotā nahīñ
aadmī insān hotā hai ḳhudā hotā nahīñ
qasr-e-irfāñ meñ rasā.ī paate haiñ arbāb-e-dil
har bashar ke vāste dar us kā vā hotā nahīñ
chashma-sār-e-nūr meñ umr-e-abad kī kar talāsh
chāh-e-tārīkī meñ ab āb-e-baqā hotā nahīñ
is haqīqat ko na samjheñge ye ḳhvāhān-e-bahisht
kāsa-e-daryūza har dast-e-duā hotā nahīñ
har-nafas se mil nahīñ saktī hai be-jānoñ ko jaan
haath har insān kā dast-e-shifā hotā nahīñ
hai falak par mamba.a-e-anvār tanhā āftāb
har sitāra charḳh par zulmat-rubā hotā nahīñ
ziist ke sāhil-nashīñ ye bhī hai ik shakl-e-sarāb
halqa-e-girdāb-e-dariyā naqsh-e-pā hotā nahīñ
kartā hai koshish to apnī sī har insāñ tā-ba-umr
haq to ye hai zindagī kā haq adā hotā nahīñ
asl fidya sirf ehsās-e-nadāmat hai 'valī'
sīm-o-zar yā sar kisī kā ḳhūñ-bahā hotā nahīñ
laDta hai mushkil se par mushkil-kusha hota nahin
aadmi insan hota hai KHuda hota nahin
qasr-e-irfan mein rasai pate hain arbab-e-dil
har bashar ke waste dar us ka wa hota nahin
chashma-sar-e-nur mein umr-e-abad ki kar talash
chah-e-tariki mein ab aab-e-baqa hota nahin
is haqiqat ko na samjhenge ye KHwahan-e-bahisht
kasa-e-daryuza har dast-e-dua hota nahin
har-nafas se mil nahin sakti hai be-jaanon ko jaan
hath har insan ka dast-e-shifa hota nahin
hai falak par mamba-e-anwar tanha aaftab
har sitara charKH par zulmat-ruba hota nahin
zist ke sahil-nashin ye bhi hai ek shakl-e-sarab
halqa-e-girdab-e-dariya naqsh-e-pa hota nahin
karta hai koshish to apni si har insan ta-ba-umr
haq to ye hai zindagi ka haq ada hota nahin
asl fidya sirf ehsas-e-nadamat hai 'wali'
sim-o-zar ya sar kisi ka KHun-baha hota nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.