laDta hun bhanwar se abhi Duba to nahin hun
laḌtā huuñ bhañvar se abhī Duubā to nahīñ huuñ
sāgar meñ samā jā.ūñ vo qatra to nahīñ huuñ
maiñ apnī tarah huuñ tire jaisā to nahīñ huuñ
bāzār meñ biktā huā saudā to nahīñ huuñ
akkās hai ā.īna abhī merī anā kā
TuuTā huuñ magar TuuT ke bikhrā to nahīñ huuñ
phir se isī maidān meñ ā.ūñgā palaT kar
kuchh pīchhe sarak aaya huuñ haarā to nahīñ huuñ
maiñ ḳhvāb bhī dekhūñ to ḳhafā rahte haiñ kuchh log
logo maiñ tumheñ ḳhvāb dikhātā to nahīñ huuñ
kuchh der ko dam le lo mire paas to aao
girtī huī dīvār kā saaya to nahīñ huuñ
kyoñ itne ḳhafā ho mirī itnī sī ḳhatā par
insān huuñ maiñ koī farishta to nahīñ huuñ
sar par mire bosīda sī Topī hai mirī hai
maiñ taaj sā darbār meñ sajtā to nahīñ huuñ
laDta hun bhanwar se abhi Duba to nahin hun
sagar mein sama jaun wo qatra to nahin hun
main apni tarah hun tere jaisa to nahin hun
bazar mein bikta hua sauda to nahin hun
akkas hai aaina abhi meri ana ka
TuTa hun magar TuT ke bikhra to nahin hun
phir se isi maidan mein aaunga palaT kar
kuchh pichhe sarak aaya hun haara to nahin hun
main KHwab bhi dekhun to KHafa rahte hain kuchh log
logo main tumhein KHwab dikhata to nahin hun
kuchh der ko dam le lo mere pas to aao
girti hui diwar ka saya to nahin hun
kyon itne KHafa ho meri itni si KHata par
insan hun main koi farishta to nahin hun
sar par mere bosida si Topi hai meri hai
main taj sa darbar mein sajta to nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.