laDte hue duniya ki zarurat ke liye hum
laḌte hue duniyā kī zarūrat ke liye ham
mar jā.eñge ik roz mohabbat ke liye ham
rakkhe nahīñ ham se koī iḳhlās kī ummīd
bāzār meñ baiThe haiñ tijārat ke liye ham
daulat na siyāsat na qayādat na hukūmat
mujrim haiñ faqat apnī jihālat ke liye ham
duniyā ke har ik lutf ko ham chhoḌ deñ vaa.iz
itne bhī pareshāñ nahīñ jannat ke liye ham
hindī kī hifāzat ke liye jaise the 'rasḳhān'
vaise hī haiñ urdu kī hifāzat ke liye ham
aise hī to talvār uThāte bhī nahīñ hai
majbūr hue hoñge baġhāvat ke liye ham
jo haal thā pahle vahī hai haal abhī bhī
kuchh bhī nahīñ kar paa.e mohabbat ke liye ham
laDte hue duniya ki zarurat ke liye hum
mar jaenge ek roz mohabbat ke liye hum
rakkhe nahin hum se koi iKHlas ki ummid
bazar mein baiThe hain tijarat ke liye hum
daulat na siyasat na qayaadat na hukumat
mujrim hain faqat apni jihaalat ke liye hum
duniya ke har ek lutf ko hum chhoD den waiz
itne bhi pareshan nahin jannat ke liye hum
hindi ki hifazat ke liye jaise the 'rasKHan'
waise hi hain urdu ki hifazat ke liye hum
aise hi to talwar uThate bhi nahin hai
majbur hue honge baghawat ke liye hum
jo haal tha pahle wahi hai haal abhi bhi
kuchh bhi nahin kar pae mohabbat ke liye hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.