lafz dekhenge maani ki taraf dekhenge
lafz dekheñge ma.ānī kī taraf dekheñge
phir dar-o-bast-o-ravānī kī taraf dekheñge
bahr-e-zulmāt meñ DhūñDeñge jazīroñ ke nishāñ
aur sahrāoñ meñ paanī kī taraf dekheñge
log pūchheñge zamāne kī zalālat kā ilaaj
aur ham sab'-e-masānī kī taraf dekheñge
raat aa.egī to nīñdoñ ke safar se pahle
raḳht bāñdhe hue naanī kī taraf dekheñge
ab talak TuuTā nahīñ pahlī mohabbat kā fusūñ
tujh ko bhūleñge to saanī kī taraf dekheñge
ham kisī zulf kī ḳhushbū se mahakte hue log
ham kahāñ raat kī raanī kī taraf dekheñge
ek tasvīr meñ dekheñge akelā ḳhud ko
aur phir apnī kahānī kī taraf dekheñge
ab tujhe dekh ke rone kī sakat kis ko hai
umr-bhar terī nishānī kī taraf dekheñge
lafz dekhenge maani ki taraf dekhenge
phir dar-o-bast-o-rawani ki taraf dekhenge
bahr-e-zulmat mein DhunDenge jaziron ke nishan
aur sahraon mein pani ki taraf dekhenge
log puchhenge zamane ki zalalat ka ilaj
aur hum sab'-e-masani ki taraf dekhenge
raat aaegi to nindon ke safar se pahle
raKHt bandhe hue nani ki taraf dekhenge
ab talak TuTa nahin pahli mohabbat ka fusun
tujh ko bhulenge to sani ki taraf dekhenge
hum kisi zulf ki KHushbu se mahakte hue log
hum kahan raat ki rani ki taraf dekhenge
ek taswir mein dekhenge akela KHud ko
aur phir apni kahani ki taraf dekhenge
ab tujhe dekh ke rone ki sakat kis ko hai
umr-bhar teri nishani ki taraf dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.