lafz KHushbu mein Dhaalta manzar
lafz ḳhushbū meñ Dhāltā manzar
lījiye sher ban gayā manzar
kaisā sundar thā ik zamāne meñ
terī āñkhoñ meñ Dūbtā manzar
rañg mausam se uḌ ga.e saare
canvas par paḌā rahā manzar
aap kā jism bhī hai miTTī kā
ek nāzuk sā bhurbhurā manzar
mujh ko hairat se maar Dālegā
aa.ine meñ sajā huā manzar
aah kamre meñ jāgte rahnā
aah khiḌkī meñ so gayā manzar
us ne dāman jhaTak liyā tauba
mere hāthoñ se gir gayā manzar
tum yahāñ the to thā yahīñ par vo
phir daraḳhtoñ meñ jā chhupā manzar
koī āvāz phir se gūñjī hai
ho gayā phir harā-bharā manzar
kis kī aahaT hai suunī galiyoñ meñ
kis kā khultā hai raat kā manzar
koī muflis kī pūñjī ho jaise
joḌtī huuñ zarā zarā manzar
lafz KHushbu mein Dhaalta manzar
lijiye sher ban gaya manzar
kaisa sundar tha ek zamane mein
teri aankhon mein Dubta manzar
rang mausam se uD gae sare
canwas par paDa raha manzar
aap ka jism bhi hai miTTi ka
ek nazuk sa bhurbhura manzar
mujh ko hairat se mar Dalega
aaine mein saja hua manzar
aah kamre mein jagte rahna
aah khiDki mein so gaya manzar
us ne daman jhaTak liya tauba
mere hathon se gir gaya manzar
tum yahan the to tha yahin par wo
phir daraKHton mein ja chhupa manzar
koi aawaz phir se gunji hai
ho gaya phir hara-bhara manzar
kis ki aahaT hai suni galiyon mein
kis ka khulta hai raat ka manzar
koi muflis ki punji ho jaise
joDti hun zara zara manzar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.