lafz kuchh aur hain abru ka ishaara kuchh aur
lafz kuchh aur hain abru ka ishaara kuchh aur
Imtiyaz Danish Nadwi
MORE BYImtiyaz Danish Nadwi
lafz kuchh aur haiñ abrū kā ishāra kuchh aur
ab ke lagtā hai ki zālim kā hai manshā kuchh aur
mujh ko ma.alūm na thā aisī bhī hotī hogī
zindagī kā thā tasavvur meñ to naqshā kuchh aur
yuuñ ḳhamoshī se nahātā nahīñ ḳhuuñ meñ apne
ai mirī ḳhāk-e-vatan tujh se hai va.ada kuchh aur
bad-gumānī bhī nahīñ itnī kisī se achchhī
maiñ ne kuchh aur kahā aap ne samjhā kuchh aur
aur bhī kitne tarīqe the sitam ke raa.ij
zulm Dhāne kā magar terā tarīqa kuchh aur
zulm kī umr bahut lambī nahīñ hotī hai
sabr se kar lo sitam us ke gavāra kuchh aur
khel kuchh aur madārī ke abhī baaqī haiñ
chāhte bhī haiñ ki dekheñ ye tamāsha kuchh aur
zindagī jaisī bhī ho shikva nahīñ karte 'dānish'
dard-mandoñ kā hai jiine kā tarīqa kuchh aur
lafz kuchh aur hain abru ka ishaara kuchh aur
ab ke lagta hai ki zalim ka hai mansha kuchh aur
mujh ko malum na tha aisi bhi hoti hogi
zindagi ka tha tasawwur mein to naqsha kuchh aur
yun KHamoshi se nahata nahin KHun mein apne
ai meri KHak-e-watan tujh se hai wada kuchh aur
bad-gumani bhi nahin itni kisi se achchhi
main ne kuchh aur kaha aap ne samjha kuchh aur
aur bhi kitne tariqe the sitam ke raij
zulm Dhane ka magar tera tariqa kuchh aur
zulm ki umr bahut lambi nahin hoti hai
sabr se kar lo sitam us ke gawara kuchh aur
khel kuchh aur madari ke abhi baqi hain
chahte bhi hain ki dekhen ye tamasha kuchh aur
zindagi jaisi bhi ho shikwa nahin karte 'danish'
dard-mandon ka hai jine ka tariqa kuchh aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.