lafz likhta hai ki zanjir bana deta hai
lafz likhtā hai ki zanjīr banā detā hai
vo to hairat ko bhī tahrīr banā detā hai
tum use sirf namī kah ke ġhulū mat barto
ashk ko dard hama-gīr banā detā hai
ik tasalsul meñ manāzir nazar aate haiñ mujhe
ishq har ḳhvāb ko zanjīr banā detā hai
us ke lafzoñ meñ vo jaadū hai sar-e-bazm-e-suḳhan
lab hilātā hai ki tasvīr banā detā hai
dard se uzr na barto ki yahī dard aksar
miir ko miir taqī miir banā detā hai
maiñ usī ism kī barakat meñ huuñ sarshār 'fidā'
jo añdhere ko bhī tanvīr banā detā hai
lafz likhta hai ki zanjir bana deta hai
wo to hairat ko bhi tahrir bana deta hai
tum use sirf nami kah ke ghulu mat barto
ashk ko dard hama-gir bana deta hai
ek tasalsul mein manazir nazar aate hain mujhe
ishq har KHwab ko zanjir bana deta hai
us ke lafzon mein wo jadu hai sar-e-bazm-e-suKHan
lab hilata hai ki taswir bana deta hai
dard se uzr na barto ki yahi dard aksar
mir ko mir taqi mir bana deta hai
main usi ism ki barakat mein hun sarshaar 'fida'
jo andhere ko bhi tanwir bana deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.