lafz likhta hun maani khol kar
lafz likhtā huuñ ma.ānī khol kar
baat meñ puurī kahānī khol kar
ruuh ke chhāle ubhar aate haiñ phir
dekhtā huuñ jab javānī khol kar
ek ke andar hazāroñ thiiñ rakhī
ek din dekhā kahānī khol kar
lag gayā hāthoñ meñ tab be-rang ḳhuun
maiñ ne jab dekhā thā paanī khol kar
ḳhāmushī apnī bachā letā huuñ yuuñ
boltā huuñ be-zabānī khol kar
lafz likhta hun maani khol kar
baat mein puri kahani khol kar
ruh ke chhaale ubhar aate hain phir
dekhta hun jab jawani khol kar
ek ke andar hazaron thin rakhi
ek din dekha kahani khol kar
lag gaya hathon mein tab be-rang KHun
main ne jab dekha tha pani khol kar
KHamushi apni bacha leta hun yun
bolta hun be-zabani khol kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.