lafz nagin ki tarah Daste hain goyai mein
lafz nāgin kī tarah Daste haiñ goyā.ī meñ
ḳhāmushī zahr milā detī hai tanhā.ī meñ
dil kī bātoñ ko zabāñ par nahīñ aane dete
kitnī zanjīreñ nazar aatī haiñ yakjā.ī meñ
Thahre paanī meñ girā sañg ravānī koī
chāhiye taaza huā ruuh kī gahrā.ī meñ
kyā nazar aa.egā mausam ke nashe meñ tujh ko
kitne patte haiñ ki uḌ jaate haiñ purvā.ī meñ
shab se pahle hī koī chāñd nikālo varna
dil bhī niklegā añdheroñ kī pazīrā.ī meñ
khul ga.ī aañkh to ḳhauf aane lagā hai ḳhud se
ġham na ho jaa.eñ kahīñ apnī hī pahnā.ī meñ
kis ke nazāre kī ḳhvāhish meñ giraftār hue
zaḳhm āñkhoñ ke mile dil kī masīhā.ī meñ
Duub kar phir koī ubhrā na safīna ġham kā
kitne tūfāñ haiñ tire jism kī ra.anā.ī meñ
mujh se pūchho ki bayābān-e-safar kaisā hai
umr guzrī hai mirī bādiya-paimā.ī meñ
ham bhī mar jā.eñge jiine kī havas meñ āḳhir
kaam ā.eñge usī ma.arka-ārā.ī meñ
hañsne vāloñ meñ ka.ī apne bhī shāmil the 'nadīm'
shakl pahchānī ga.ī apnī bhī rusvā.ī meñ
lafz nagin ki tarah Daste hain goyai mein
KHamushi zahr mila deti hai tanhai mein
dil ki baaton ko zaban par nahin aane dete
kitni zanjiren nazar aati hain yakjai mein
Thahre pani mein gira sang rawani koi
chahiye taza hua ruh ki gahrai mein
kya nazar aaega mausam ke nashe mein tujh ko
kitne patte hain ki uD jate hain purwai mein
shab se pahle hi koi chand nikalo warna
dil bhi niklega andheron ki pazirai mein
khul gai aankh to KHauf aane laga hai KHud se
gham na ho jaen kahin apni hi pahnai mein
kis ke nazare ki KHwahish mein giraftar hue
zaKHm aankhon ke mile dil ki masihai mein
Dub kar phir koi ubhra na safina gham ka
kitne tufan hain tere jism ki ranai mein
mujh se puchho ki bayaban-e-safar kaisa hai
umr guzri hai meri baadiya-paimai mein
hum bhi mar jaenge jine ki hawas mein aaKHir
kaam aaenge usi marka-arai mein
hansne walon mein kai apne bhi shamil the 'nadim'
shakl pahchani gai apni bhi ruswai mein
- Book : Shola-e-Khushboo (Pg. 115)
- Author : Salahuddin Nadeem
- Publication : Raheel Salahuddin (1984)
- Edition : 1984
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.