lafz tahrir bante jate hain
lafz tahrīr bante jaate haiñ
merī taqdīr bante jaate haiñ
bah rahe haiñ jo aañkh se aañsū
dil kī tafsīr bante jaate haiñ
kitne sarkash haiñ aap ke gesū
jaise zanjīr bante jaate haiñ
niiñd sī aa ga.ī ḳhayāloñ ko
ḳhvāb ta.abīr bante jaate haiñ
jo bhī ġham milte haiñ zamāne se
apnī jāgīr bante jaate haiñ
lafz tahrir bante jate hain
meri taqdir bante jate hain
bah rahe hain jo aankh se aansu
dil ki tafsir bante jate hain
kitne sarkash hain aap ke gesu
jaise zanjir bante jate hain
nind si aa gai KHayalon ko
KHwab tabir bante jate hain
jo bhi gham milte hain zamane se
apni jagir bante jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.