lafz tartib se rakhta hun main tamsil ke sath
lafz tartīb se rakhtā huuñ maiñ tamsīl ke saath
kaun kartā hai bayāñ falsafa tafsīl ke saath
ashk paidā huā āñkhoñ kī zamīñ se yak dam
aa.ina TuuT gayā hijr kī takmīl ke saath
merī āvāz bahut duur talak jā.egī
āyat-e-hijr sunā.ūñgā maiñ tartīl ke saath
mere ash.ār meñ paiġhām thā duniyā ke liye
merā dīvān bhī rakkhā gayā injīl ke saath
din nikalte hī utartā hai khule paanī meñ
jaane kyā rabt hai sūraj kā mirī jhiil ke saath
merī jānib bhī to kuchh tishna-dahāñ aa.e giiñ
merā dariyā bhī to bahtā hai tire niil ke saath
raushnī zaḳhm chhupā.e bhī to kaise āḳhir
maiñ ne sūraj ko shikasta kiyā qindīl ke saath
tū havas-zād hai ai dost badan kā maarā
terā kuchh ḳhaas ta.alluq hai azāzīl ke saath
un kī parvāz pe aflāk 'fidā' hotā hai
ab to shāhīn bhī uḌte haiñ abābīl ke saath
lafz tartib se rakhta hun main tamsil ke sath
kaun karta hai bayan falsafa tafsil ke sath
ashk paida hua aankhon ki zamin se yak dam
aaina TuT gaya hijr ki takmil ke sath
meri aawaz bahut dur talak jaegi
aayat-e-hijr sunaunga main tartil ke sath
mere ashaar mein paigham tha duniya ke liye
mera diwan bhi rakkha gaya injil ke sath
din nikalte hi utarta hai khule pani mein
jaane kya rabt hai suraj ka meri jhil ke sath
meri jaanib bhi to kuchh tishna-dahan aae gin
mera dariya bhi to bahta hai tere nil ke sath
raushni zaKHm chhupae bhi to kaise aaKHir
main ne suraj ko shikasta kiya qindil ke sath
tu hawas-zad hai ai dost badan ka mara
tera kuchh KHas talluq hai azazil ke sath
un ki parwaz pe aflak 'fida' hota hai
ab to shahin bhi uDte hain ababil ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.