lafz teri yaad ke sab be-sada kar aae hain
lafz terī yaad ke sab be-sadā kar aa.e haiñ
saare manzar ā.inoñ se ḳhud miTā kar aa.e haiñ
jal chuke saarī mahaktī ḳhvāhishoñ ke jab gulāb
mausamoñ ke dukh nigāhoñ meñ jalā kar aa.e haiñ
ek lamhe meñ ka.ī sadiyoñ ke naate toḌ kar
sochte haiñ apne hāthoñ se ye kyā kar aa.e haiñ
rāste to kho chuke the apnī har pahchān tak
ham janāze manziloñ ke ḳhud uThā kar aa.e hai
saare rishte jhuuT haiñ saare ta.alluq par fareb
phir bhī sab qaa.em raheñ ye bad-duā kar aa.e haiñ
har chhalakte ashk meñ tasvīr jhalkegī tirī
naqsh paanī par tirā anmiT banā kar aa.e haiñ
maut se pahle jahāñ meñ chand sāñsoñ kā azaab
zindagī jo qarz terā thā adā kar aa.e haiñ
saare shikve bhuul kar aao mileñ 'haidar' unheñ
vo ga.e lamhoñ ko phir vāpas bulā kar aa.e haiñ
lafz teri yaad ke sab be-sada kar aae hain
sare manzar aainon se KHud miTa kar aae hain
jal chuke sari mahakti KHwahishon ke jab gulab
mausamon ke dukh nigahon mein jala kar aae hain
ek lamhe mein kai sadiyon ke nate toD kar
sochte hain apne hathon se ye kya kar aae hain
raste to kho chuke the apni har pahchan tak
hum janaze manzilon ke KHud uTha kar aae hai
sare rishte jhuT hain sare talluq par fareb
phir bhi sab qaem rahen ye bad-dua kar aae hain
har chhalakte ashk mein taswir jhalkegi teri
naqsh pani par tera anmiT bana kar aae hain
maut se pahle jahan mein chand sanson ka azab
zindagi jo qarz tera tha ada kar aae hain
sare shikwe bhul kar aao milen 'haidar' unhen
wo gae lamhon ko phir wapas bula kar aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.