lafzon ke karobar mein pahchan ho gain
lafzoñ ke kārobār meñ pahchān ho ga.iiñ
jān-e-suḳhan se aap mirī jaan ho ga.iiñ
shāyad unheñ bhī gaal ko chhūne kī lat lagī
zulfeñ hasīn ruḳh pe pareshān ho ga.iiñ
mujh ko ye kah rahī haiñ idhar se nahīñ guzar
rāheñ tumhāre shahr kī anjān ho ga.iiñ
sūrat tumhārī dil meñ hifāzat ke saath hai
yādoñ kī Toliyāñ jo nigahbān ho ga.iiñ
is intizār meñ hai nigāhoñ kā haal yuuñ
takte tumhārī raah ko be-jān ho ga.iiñ
milnā nahīñ hai aap ne mujh ko yaqīn hai
puurā na ho sake jo vo armān ho ga.iiñ
is zindagānī meñ mirā rahbar tirā jamāl
jitnī bhī Thokareñ lagīñ āsān ho ga.iiñ
muddat huī hai aap ne siine rakhā na haath
galiyāñ ye dil kī tab se haiñ vīrān ho ga.iiñ
likkhā hai mere haath meñ ab tum nahīñ ho saath
ā.eñgī jo bhī ghaḌiyāñ vo nuqsān ho ga.iiñ
ye to hamāre biich mohabbat ke raaz the
bāteñ likhī haiñ man kī to dīvān ho ga.iiñ
dhaḌke hai dil meñ naam hamesha janāb kā
dilbar kahāñ haiñ aap to jānān ho ga.iiñ
lafzon ke karobar mein pahchan ho gain
jaan-e-suKHan se aap meri jaan ho gain
shayad unhen bhi gal ko chhune ki lat lagi
zulfen hasin ruKH pe pareshan ho gain
mujh ko ye kah rahi hain idhar se nahin guzar
rahen tumhaare shahr ki anjaan ho gain
surat tumhaari dil mein hifazat ke sath hai
yaadon ki Toliyan jo nigahban ho gain
is intizar mein hai nigahon ka haal yun
takte tumhaari rah ko be-jaan ho gain
milna nahin hai aap ne mujh ko yaqin hai
pura na ho sake jo wo arman ho gain
is zindagani mein mera rahbar tera jamal
jitni bhi Thokaren lagin aasan ho gain
muddat hui hai aap ne sine rakha na hath
galiyan ye dil ki tab se hain viran ho gain
likkha hai mere hath mein ab tum nahin ho sath
aaengi jo bhi ghaDiyan wo nuqsan ho gain
ye to hamare bich mohabbat ke raaz the
baaten likhi hain man ki to diwan ho gain
dhaDke hai dil mein nam hamesha janab ka
dilbar kahan hain aap to jaanan ho gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.