lafzon ke talatum mein aahang jaga baiThe
lafzoñ ke talātum meñ āhang jagā baiThe
tum ne to ġhazal gaa.ī ham hosh bhulā baiThe
aisī bhī shikāyat kyā bebāk-nigāhī se
ā.īna dikhāyā thā chehra hī chhupā baiThe
kyā kyā na gumāñ guzrā kyā kyā na ḳhayāl aaya
kyā kyā na banī dil par ham phone uThā baiThe
ai vaa.e vo nādānī ai vaa.e ye dānā.ī
duniyā ne to kyā luuTā ham ḳhud ko luTā baiThe
kyā kyā na zamāne ke dāman se havā bhaḌkī
chhāñv thī zarā ThanDī ham dhuup meñ jā baiThe
ayyām ke chehre ko jab dhuup jhulastī ho
kohrā.ī sī yādoñ kī ham sham.a jalā baiThe
armān machalte haiñ lahroñ kī nigāhoñ meñ
ham vaqt ke sāhil par do phuul khilā baiThe
kuchh baat rahī hogī kuchh DaañT paḌī hogī
vo ro.e the ham us din us ko hī rulā baiThe
phūloñ kī balā.eñ lo kāñToñ ko duā.eñ do
gulshan kī adāoñ ko kyā dil se lagā baiThe
lafzon ke talatum mein aahang jaga baiThe
tum ne to ghazal gai hum hosh bhula baiThe
aisi bhi shikayat kya bebak-nigahi se
aaina dikhaya tha chehra hi chhupa baiThe
kya kya na guman guzra kya kya na KHayal aaya
kya kya na bani dil par hum phone uTha baiThe
ai wae wo nadani ai wae ye danai
duniya ne to kya luTa hum KHud ko luTa baiThe
kya kya na zamane ke daman se hawa bhaDki
chhanw thi zara ThanDi hum dhup mein ja baiThe
ayyam ke chehre ko jab dhup jhulasti ho
kohrai si yaadon ki hum shama jala baiThe
arman machalte hain lahron ki nigahon mein
hum waqt ke sahil par do phul khila baiThe
kuchh baat rahi hogi kuchh DanT paDi hogi
wo roe the hum us din us ko hi rula baiThe
phulon ki balaen lo kanTon ko duaen do
gulshan ki adaon ko kya dil se laga baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.