lafzon ki tah mein surat-e-izhaar dekhna
lafzoñ kī tah meñ sūrat-e-iz.hār dekhnā
har-har qadam pe raah meñ dīvār dekhnā
dīvār-o-dar gharoñ ke haiñ vahshat-zada sabhī
lekin saje haiñ kūcha-o-bāzār dekhnā
vo ilm jo ki ḳhauf-e-ḳhudā se tahī rahe
be-naf.a jins-e-ḳhām hai be-kār dekhnā
khā jā.egā zamīn kī saarī hī raunaqeñ
baḌhtā huā ye barf kā ambār dekhnā
tum ko lubhā rahī haiñ ye shahroñ kī raunaqeñ
shahroñ se log kitne haiñ bezār dekhnā
apne bane the kaise ġhalāzat-fashāñ raqīb
'jāved' mustafā kā vo kirdār dekhnā
lafzon ki tah mein surat-e-izhaar dekhna
har-har qadam pe rah mein diwar dekhna
diwar-o-dar gharon ke hain wahshat-zada sabhi
lekin saje hain kucha-o-bazar dekhna
wo ilm jo ki KHauf-e-KHuda se tahi rahe
be-nafa jins-e-KHam hai be-kar dekhna
kha jaega zamin ki sari hi raunaqen
baDhta hua ye barf ka ambar dekhna
tum ko lubha rahi hain ye shahron ki raunaqen
shahron se log kitne hain bezar dekhna
apne bane the kaise ghalazat-fashan raqib
'jawed' mustafa ka wo kirdar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.